Ek Shayar ka Safar

Hello friends.This blog is Ek Shayar ka safer.Manzil is life,Target, Vision, Aim. Without motivation, inspiration we cant get target.So i will try my best to write more Inspirational , Motivational words. Through which reader come out from depression and they have to eager to spend a enjoy full life.So please join it and put your comments. Ye aap sab ki manzil ka hai safar, Ye badhte kadmo ki hai ek dagar, Ab zindagi ko banalo hamsafar, Jaan lo ye Ek Shayar ka hai safar...........

Sunday, February 28, 2010

Ek Rang Ho....


Ek rang ho ya do rang
Aaj charo traf hai rang,
Sab hai ek duje ke sang,
Holi khele ab tere sang !

*************************

©Written by:Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Saturday, February 27, 2010

Zindagi Se Na Jaane



Zindagi se na jaane kyu anjan hai,
Har Raste ki apani ek nai manzil hai !

Manzil ke safar me sab mehman hai,
Aaj yaha na jaane wo kal kaha hai !

Pahuchne ka tumhe ab intazar hai,
Ab na tu is baat se bekhabar hai !

Malum hua ki ye Zindagi ek doad hai,
Har Kadam pe ek naya moad hai !

A musafir ye aage ko hi jata hai,
Mudkar ke na dekh ye safar aisa hai !

Ek yahi hai jo sabki Manzil tak jata hai,
Jaan lo ye aap sabki Manzil ka safar hai !

Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Dil Karta Hai



Friday, February 26, 2010

Lakho Dost Banana


lakho dost banana koi badi baat nahin,


Yu hamse milana koi mulakat nahin,

Ye Zindagi kisi jannat se kam nahin,

Ye safar kisi hamsafar se kam nahin !

Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Thursday, February 25, 2010

Masumiyat



Masumiyat to chahare pe jhalakti hai,
Muskan to hamesa hotho pe khilati hai,
Tu kudrat ka wo baiskimati tofa hai,
Is Shayar ke paas itane hi shabad hai !

*******************************

©Written by:Maya Manzil
maya.manjil@gmai.com

Wednesday, February 24, 2010

Ye Apni Manzil....


Ye apani manzil ka hai raasta,
Ab sab se mera ek yahi wasta !

Koi to milega hame bhi farista,
Us tak pahuchne ka koi raasta !

Kisi aarju ko dil me hai basana,
Badhte kadam hame chale jana !

Ab moad ka intazar hai karte,
Us mukam ko hasil hai karte !

Zindagi ki har reet hai nibhate,
Shukh dukh me saath hai rahte !

Kaanto me phool ko mahsus karte,
Gam me khushi ka ahsaas karte !

Sabke arama pure ho safar ke chalte,
Manzil ke musafir ko salam hai karte !

Written By: Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Apani Manzil Ke Safar...


Apani Manzil ke safar me akele ham hai,

Waqt ke saath kadam milate chale ham hai !

Jidhar rukh muda udhar chale ham hai,
Kisko malum ki kidhar chale ham hai !

Chalate rahte hai na jaane kis manzil ke ham hai,
soachte hai ab ye ki kis raahgujar ke ham hai !

Anjaro pe chalne ka hosla rakhate ham hai,
Jo kisi ne na kiya wo karke dikhat ham hai !


Maya Manzil
maya.manzil@gmail.com

Pyas to Ek Boond Se


Pyas to ek Boond se bhujai ja sakti hai,
Chingari to ek angari se jalai ja sakti hai,
Shikhna to ek thokar se shikha ja sakta hai,
Naummid to ummid me badla ja satka hai !

Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Tuesday, February 23, 2010

Udan Ke Liye


Udan ke liye Gagan Me bhadte kadam hai,

Mere Geet ke liye tere thirakte sargam hai ,
Jab Kabhi dil ghabraye to kya gam hai,
Ham tere sath hamesa hai ye kya kam hai !


Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com


Monday, February 22, 2010

Ek Pal Ki Doori.....


Ek pal ki doori hai meri kuch majboori hai,

A samajh dost tujhse milna bhi jaroori hai,
Mere is kalam ki ab ye baat adhoori hai,
Aap jann lo ki meri ye kaisi majboori hai !

Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com


Dil Ka Araman Paas Aake Dekho

Dil Ka Araman Paas Aake Dekho,
Do Kadam Manzil Pe Chalke Dekho !

Hamse Haath Se Haath Milke Dekho,
Dil Ke Taar Ke Sargam Ko Dekho !

Anjaani Raaho Me Chalake To Dekho,
Manzil Ki Ghazal Ko Padhke To Dekho !

Uske Har Shabad Ko Samjh Ke To Dekho,
Manzil Ke Safar Me Aap Chalake to Dekho !

Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Mera naam jo sabki juba pe hai....

Mera naam jo sabki juba pe hai,
Ham hai waha jaha sab rahte hai !

Shayari likhna hi mera kaam hai,
Dard ko gharai se maine padha hai!

Ab aapka sawal pura hua hai,
Manzil ne aapko salam kiya hai !

***********************************

Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Sunday, February 21, 2010

Apani Manzil ke safer me........

Apani Manzil ke safar me akele ham hai,
Waqt ke saath kadam milate chale ham hai !

Jidhar rukh muda udhar chale ham hai,
Kisko malum ki kidhar chale ham hai !

Chalate rahte hai na jaane kis manzil ke ham hai,
soachte hai ab ye ki kis raahgujar ke ham hai !

Anjaro pe chalne ka hosla rakhate ham hai,
Jo kisi ne na kiya wo karke dikhat ham hai !

Do shabado me shayari ko likhate ham hai,
Ek Shayar ke safar me hamsafar ham hai !


Written by: Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Saturday, February 20, 2010

Dost Ek Khawab


Dost ek khawab nahi ek ahsaas hota hai,

Unki har baat ka hame andaz hota hai,
Manzil me musafir ka hisab nahi hota hai,
Ye to aap sabki manzil ka safar hota hai !

Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Friday, February 19, 2010

Manzil Me Ek

Mnazil me ek musafir hi kafi hai,
Zindagi me ek ummid hi kafi hai !

Aaj me kal ka gujarna hi kafi hai,
Din me suraj ka nikalna hi kafi hai !
Align Center
Raat me juganu ka chamakna kafi hai,
Gam me ek khushi ka aana hi kafi hai !

Dharti pe baris ki ek boond hi kafi hai,
Baag me koyal ki ek gunj hi kafi hai !

Teri yaad ke liye ek mulakat kafi hai,
Sapne ke liye ek nind ka jhoka kafi hai !

Aaiine ko teri ek jhalak mile wo hi kafi hai,
Ek Shayar ke liye shayari shabad hi kafi hai !

Written by: Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Apani Manzil Ke Safar ................



Thursday, February 18, 2010

Ek Raah Chalate..


Ek raah chalate musafir ne salam kiya hame,
Na jane kis kadar raah me badnam kiya hame!

Is salam ne ye jano kya naam diya hame,
Apane un haatho se ek pagam diya hame!

Yaad aaye hamari ek aawaz dena hame,
Fir aankhe kholana aur pana samne hame!

Hame to aajmaya aur wada pura kiya unhone,
Ab wo hame musafir na hokar apne lagne lage!

Kya kahe kaise unka salam jo le liya hamne,
Ab wo kuch aur jayada yaad aane lage hame!

Nazare us raah pe jis pe salam kiya hame,
A musafir ab tu loat aa yaad aane lagi hame!

Dil se pukara or raah pe wo nazar aaye hame,
Sach hai aapka ye salam yaad rahega ab hame!

Written by: Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Wednesday, February 17, 2010

Kisi Ka Ek Sawal

Kisi Ka Ek Sawal Hai,
Manzil Kaise Likhhti ho?

Use Pas Kya Iska Jawab Hai,
Manzil Se ab kya Puchhte ho?

Aapka ye koi sawal nahi Hai,
Wo kya Uski Kalam Likhhti Hai !

Uske Dil Me Ek raaj Hota Hai,
Kalam duniya ke Raaj khholti hai !

Malum Huaa Manzil ki kalam kya hai,
Safar me wo sabko saath lekar chalti hai !

Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Saturday, February 13, 2010

Aaj Kisi Ka Dil


Aaj kisi ka dil kuch kahne ko hai,

Na jaane hamse kyu chhupate hai !

Wo jaanke bhi anjaan banate hai,
Kyu wo hame ab yu satate hai !

Chahate huaye bhi chhupate hai,
Un nazare me sab ham padh lete hai !

Na jaane wo kyu ab saramate hai,
Saamne aakar nazare jhuka lete hai!

Ham unki aankho me sab dekh lete hai,
Is liye wo nazare churakar chalate hai !

Na jaane wo kyu hamse door rahte hai,
Unke karib jao to wo ghabra jate hai !

Nazuk si kali chhune pe murjha jati hai,
Kya kahe unhe kahne se ham darte hai !

Dil kahta hai aaj Izahar ham kar dete hai,
Ham sirf or sirf tumse hi pyar karte hai !

Manzil aaj sabko apana ye pagam deti hai,
Dil ki baat aaj tum use kah do to accha hai !

Pyaar karne walo ka aaj ye dil kahta hai,
Valentine Day ko dil ki baat kahan accha hai !


Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com




Friday, February 12, 2010

Na Dekhenge Raah


Na dekhenge raah tumhari lotane ki,
Kosis karenge ab tumhe bhoolne ki,
Na ummid karenge tumse ab kisi ki,
Himmat karenge Manzil pe chalne ki !

Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

A Ajnabi Tum Aise Na

A ajnabi tum aise na dekha karo,
Manzil ki shayari to padha karo !

Pyar karo to meri shayari se karo,
Manzil se nahi uski kalam se karo !

Jo likha hain usne aap samja karo,
A duniya mujhe ab na aajmaya karo !

Manzil ka hai koi musafir jaan liya karo,
Chalana hai uske saath maan liya karo !

Safar me koi karta hai intazar mana karo,
Uski nigahe dekhti hai raah jane diya karo !

yaad me aansu aaye to poochhne diya karo,
Khushi na sahi par hame gam bhi na diya karo

Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Thursday, February 11, 2010

Dil kehta hai

Dil kehta hai ki zindagi ki kahani likhon,
Wo kahani main sach ki Zubani likhon,
Aapne Jazbaat ko mai samunder likhon,
Kabhi gum ko aankho se bahta hua paani likhon,
usske manane ko uss ki mohabbat likhon,
aapne rooth jane ko apni nadani likhon,
aapni jaan ko usski amant likhon,
ya uss k naam apni ye puri zindgaani likhon.......

A Mere Dost


A mere dost do kadam mere saath chal,
meri manzil hain door waha tak le chal !


Dena hamesa tum mera saath har pal,
Khhuli aankho ke sapne pure kar chal !

Tham le ab mera haath aage badh chal,
Sab reeti riwazo to tu pura karta chal !

Bahake kadam to hosla badhata chal,

meri ummid to ummid se milata tu chal !

Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Dil Kahata Hain


Dil kehta hai zindagi ki kahani likhon,
Wo kahani main sach ki Zubani likhon!

Aapne jazbaat ko main samunder likhon,
Gum ko aankho se bahta hua paani likhon !

Usske manane ko usski mohabbat likhon,
Aapne rooth jaane ko apni nadaani likhon!

Sapna Wo Jo


Sapna
wo jo apni hi aankh se dekha jaye,

Anpna wo jo har Kadam pe saath deta jaye,
Ummid wo jo garo se nahi khud se hi ki jaye,
Musafir wo jo apni hi manzil pe chalata jaye!


Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Ek Pal Ke


Ek Pal
ke liye laga koi apna hain,

waqt unke paas apno ke liye hain,
Ham to garo ki ginti me rahte hain,
Ye galti ki use apna samjh baithe hain !

Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Wo aise Hain


Wo aise hain wada karke bhool jate hain,

Jab yaad unhe dilaye to hame datate hain,
Ab socha hain ki ham hi bhool jate hain,
Kya yaad kare unhe jo anjan ban jate hain !

Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Wednesday, February 10, 2010

Kya Kare


Kya kare hame moat aati nahi,

Kalam likhne par rukti nahi,
Ham aapko kuch kahte nahi,
Bas yahi ki ham khudgarj nahi !

Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Ham Kya The


Ham kya kahe kya the aur kya ho gaye,
Karane kya chale the aur kya kar gaye!

Pana kya tha na jane kya ham paa gaye,
Kabhi na socha tha aur wo ham kar gaye!

Kisi ke sapno ko na jane kaise bikhair gaye,
Ham haal puchhne na gaye kaise ban gaye!

Wo manzil ki raah me aaye aur ham na gaye,
Wo manzil se lotkar yu bagar mile chale gaye !

Ham unhe chahate huai bhi rokne na gaye,
In aankho se aansu ko ham roak na paaye !

Ab intazar hain ki wo kab jald loat aaye,
Ab bas hame bhi apne saath wo le jaaye !


Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com





Tuesday, February 9, 2010

Ham Wo Hain Jo


Ham wo hain jo kabhi mayus nahi hote,
Dard hote huaye bhi mahsus nahi karte!

Aage badhne ka hosla ham hain rakhte,
Jugnu kitarah hamesaham hain chamkte!

Ek ankaha sa sapna ab ham hain bunate,
Use Pura karne ki chahat ham hain rakhte!

Phool ki kali ki tarah ham bhi hain khilte,
Raat me sitaro ki tarah ham hain chamakte!

Zindagi me mili thokar ko kuch nahi samajhte,
Ham wo hain iet ka jawab pathar se hain dete !

Ye is Manzil ka hain dastoor tumhe hain batate,
Ab to us Raahi ka hain kasoor kyo hain wo aate !

Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com



Is Manzil Ko


Is Manzil ko safar me hain chalte jana,

Ab to mujhe mukam ko hasil karte jana,
Aaj nahi to kal manzil ka hain meel jana,
Har musfir ko ab yaad karte hi hain jana !

Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Monday, February 8, 2010

Aapko Dil Se


Aapko Dil Se Kabhi Juda Hone Nahin Denge,

Aapko Nind Bhi Aaye To Sone Nahin Denge,
Aapki Muskaan Hume Itni Pyari Hai Ki,
Hum Mar Bhi Gaye To Bhi Aapko "RONE" Nahin Denge....


Har Mod Par


Har Mod Par Mukaam Nahin Hota,

Dil ke Rishton ka Koi Naam Nahin Hota,
Rooh Ki Roshni Se Hamne Khoja Hai Aapko ,
Aap Jaisa Dost Milna Itna Aasan Nahi Hota....!!

Zindagi Me Ek Waqt


Zindagi me ek waqt aisa bhi aaya,
hamne raah me khud ko akela paaya,
Manzil tak pahuchne pe bahut kuch khoya,
Mere hoshle ne mujhe wo sab kuch dilaya !

*************************************

Written by : Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Nafrat Ki Zindagi


Nafrat ki zindagi ji kar dekho,

Do pal gam ka ghut pe kar dekho,
Kahane or karne ke fark to dekho,
Zindagi me badhne ke tark ko dekho !

************************************

Written by : Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Haarkar Jeet Hasil


Haarkar Jeet Hasil Karna Hain Zindagi,
Waqt ko Kaboo me karna hain Zindagi,
Sapno ko hakikat me badalna hain Zindigi,
Namumkin ko mumkin me badlna hain zindagi !

**************************************
Written by : Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com


Sunday, February 7, 2010

Kisi Ke Sapno Ko


Kisi ke sapno ko apna bana baithe hain,

Kisi ke armano ko dil me saja baithe hain,
Ab ye tamanna hain ki unhe ab paa lete hain,
Is duniya ke samne unko apna ham lete hain !

*****************************************************

Written by : Dushyat Kushwaha

Mehsush Bahut Hoga


Mehsush bahut hoga jab aapse door jayenge,

Royenge bahut mager aansu nahin aayenge,
Jab saath na de koi to hume aawaj dena,
Aasmaan par honge to bhi lout ke aayenge.............

Written by : Anjali Madaan

Mohabbat Chahat Hai


Mohabbat chahat hai wafa kuch bhi nahin,

Zindagi gum ke siwa kuch bhi naihn,
Aapke pass mere siwa sab kuch hai ,
Par mere pass aapke siwa kuch bhi nahin......

Written by: Anjali Madaan

Hamesha Chahate Hain


Hamesha chahate hain aapko aapki mazil mil jaye,
Jiski chahat hain aapko wo kadmo me bichh jaye!

Hamesa Khushiyo se aapka daman aise bhar jaye,
Aapki zindagi me ab har wo lamha haseen ban jaye!

Aapka har wo sapna jo dekho wo ab pura hata hi jaye,
Har koi bas ab aapko aapki salamti ki duaa dete jaye!

A dost ab tu sabke dil me apni jagah banate hi jaye,
Chahat hain hamari ki sabki aankho ka tara ban jaye!

Koi mile tujhe apana sa or hamsafar tera ban jaye,
Yahi tamanna hain hamari bas ab wo jald puri ho jaye!


Written by : Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Aap Is Manzil Ko


Aap is manzil ko wo rasta to dikhaye,
Dagar mil jaaye to waqt ko bhi ye bataye,
Manzil tak pahuchkar ham aapko dikhaye,
Koi kar na saka wo ham ab kar ke dikhaye !

***********************************

Written by : Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com


Ab Ham Teri


Ab ham teri har baat ko yaad rakhenge,

Dekhana har kadam pe saath hi rahenge,
Hain ye zindagi ye saase tab tak rahengi,
Maayus na ho waqt ke lotne ki ummid rahengi !

************************************

Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com


Ye Ham Jaante


Ye ham jante hi nahi kon tum ho,
Ye sab kahne se pahle pucha to ho,
Kaise ye arman dil me saja ke baithe ho,
Anjan ho tum kya apni pahchan bana baithe ho!

*************************************

Written by : Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Saturday, February 6, 2010

Aankhhe Bhhar Aati


Aankhhe bhhar aati hain teri yaad me,
Har dard ko sah lete hain tere gam me,
Raah dekhte hain tere lotane ki ummid me,
Ye aankhe khhaoi hain beete un lamho me !

**********************************

Written by : Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com



Likhhe Do Labazo


Likhhe do labazo ki tarif na sahi,
Aap dil se kabool karo wo hi sahi,
Koshis ye, na likhenge ye hi sahi,
Jo likhe gaye unhe mano to sahi !

Written by : Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Phool Ki Khushbu


Phool ki khushbu ho jitni kam hain,
Chand ki chandni ho jitni kam hain,
Suraj ki roshni ho jitni kam hain,
A dost teri jitni tarif ho utni kam hain !

**********************************

Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Ye to Jaano


Ye to jaano usi kante pe phool hota hain,
Kahane se har koi kharidar nahi hota hain,

Ye to bas aapki nazaro ka farak batata hain,
Kon kya nazar nahi or kon kya nazar aata hain!

*************************************

Written by : Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Koi Apna Kahta Hain


Koi apna kahta hain ki raasta badal le,

Jab manzil hi us raste pe ho to kya kar le,
Aap hain jo us dagar pe kadam badha le,
Ab buland kar hosla or manzil hasil kar le !

**********************************

Written by : Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Friday, February 5, 2010

Dosti Ke Panno Se


Dosti ke panno se bhari kitaab ho aap,

Rishto ke phoolo ka gulaab ho aap,
Kuch log kahte hain ki dosti sachi nahin hoti,
Un sab logo k sawalon ka jawab ho aap.......... Maya



Anjali Madaan

Thursday, February 4, 2010

Takdeer Ko Banaya


Takdeer ko banaya kisne hain

Waqt ne hi tujhe rulaya hain,
Us dager ke bahkte musafir hain,
Tumne hi khud ko aisa banaya hain !

********************************

Written by : Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Usi Waqt Se


Usi wqat se log apni hasti badal lete hain,
Bas ek thokar se khud ko sambhal lete hain,
Yade to yade hoti hain jo bhulai nahi jati hain,
Aise wo khyal hain jo wqat ke sath badal jate hain !

*****************************************

Written by : Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Is Duniya Me


Is duniya me bas wqat ki jarurat hain,
Zindgi me bas ek wqat ki huqumat hain,
Hamari zindgi ishi wqat se hi judi hain ,
Ab frak malum hua kise kiski jarurat hain !

**********************************

Written by : Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Lakire Kisi Ka


lakire kisi ka mukadar nahi hoti,
Ise badlana sabke bas ka nahi hoti,
Kadam sambhalkar chalna hain hota,
Yu Manzil pana itna aasan nahi hota !

*****************************

Written by : Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Phul Khilta Hai


Phul khilta hai khushbu ke liye,
Suraj niklta hai Roshni ke liye,
Chand niklta hai Chandni ke liye,
Jeendji milti hai Jeene ke liye !

***********************

Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Waqt Ki Ahamiyat


Samunder ki Gaharai ko Jano,
Aasma ki uchai ko jano,
Agar Gindgni me kuch Banna hain to,
Waqt ki Ahamiyat ko jano !

*******************************

Written by : Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Wednesday, February 3, 2010

Shayar To Aap


Shayar to aap aise ho,
Par baat karte kaise ho,
Ye puchte ho tum kon ho,
Janab aap kya baat karte ho !

******************************

Written by : Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Na Kahenge Tumhe


Na kahenge tumhe manane ko,
Na kahenge sapno me aane ko,
Na kahenge tumhe bhul jane ko,
Aaj kaam bahut hain ye jaano to !

****************************

Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Tuesday, February 2, 2010

Aaaine Ki Trah

Aaaine ki trah saaf ho,
kyu tum aisa sochte ho,
ab aap hame kuch na kaho,
kahna tha wo kah diya aapko !

**************************


Written by : Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Pyar Ke Na


pyar ke na din gine jate hain

pyar ko na waqt me kahte hain,
sirf wo lamhe jo saath rahte hain,
un hasin palo ke saath sab jite hain !

Written by : Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Ba Apne Dil


Bas apne dil ki baat ko is kalam se share karti hu,

Isi se main apni khushi or gam dhundti rahti hu,
Bas ab ek yahi kalam hain jo hamesa saath deti hai,
Jise bhi apna kaho wo muh moad ke chal dete hai !

Maya Manzil

maya.manjil@gmail.com


Pyar ke na


Pyar ke na din gine jate hain
Pyar ko na waqt me kahte hain,
Sirf wo lamhe jo saath rahte hain,

Un hasin palo ke saath sab jite hain !

*******************************

Written by : Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Jab Bana Hi Diya


Jab Bana hi diya ajnabi to ab kya kahe de,
Ham hain jo hawa ka rukh apni or mor le,
Uski khushi me meri khushi hain ye jaan le,
Usme dil hi nahi jo kahe ki ham use tod de !

*******************************************

Written by : Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Waah Kya Baat Kahi


Waah kya baat kahi ab aapne ye hame,

Kitab ke panno ko paltna padta hain hame,
aaina hain jo sab kuch dikha deta hain hame,
Ye to chehre ka har dard bata deta hain hame !

******************************************

Written by : Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Agar Ham Hain To

Agar ham hain to hamari parchai saath hain,
Insano ki baat to ab ham kiya nahi karte hain,
Ek ye kalam hain jo har kadam pe saath deti hain,
Raah mili to manzil tak ye sabko pahucha deti hain !

**************************************************

Written by : Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Ye Baat


Ye Baat kabhi apne me ek baat ban jaye,
Zindagi khud ek sawal ka jawab ban jaye,
Ye wo hain jo sabko apne me samet le jaye,
kya khushi kya gam sab sab kuch dikha jaye !

Written by : Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Monday, February 1, 2010

Ab Koi Baat Ham


Ab koi baat ham nahi karenge.
Bahut naraj hain aap hamse,

A ajnabi kya kahe ham tumse,
Na ab kuch kaha jayegi hamse !

Mana rahe hain aapko kabse,
Yu naraj na ho is manzil se !

Huai bhool, kabool ki ab se,
Na jane aap ab kab manoge !

Manzil ke sabad khatam se,
Te hamara aakhri salam dil se !

Written by : Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Kisi Ke Hotho Pe


Kisi ke hotho pe hashi dekhna chahate hain,

Us chehare ki muskurahat lotana chahate hain,
Tumhare dil ke arman pura dekhna chahate hain,
Aaj is subah ke ye sandesh tumhe dena chahate hain !

****************************************************

Written by : Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Wo Aapki


Wo aapki apni hogi,dhokha nahi degi,
Wo us pyar ke bandhan me bandhi hogi,
Jo aapke dil ki baat ko hamesa sunegi,
Har kadam pe wo aapke saath rahegi !

Written by: Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Pyar to Ek


Pyar to ek mitha sa ahsaas hain,
Ek ankaha sa khubsurat pal hain,
Ye kab ho jaaye kuch pata nahi hain,
Ye ahsaas to bichhudne pe hota hain,
Ki Hame bhi kisi se pyar hua hain !

****************************

Written by : Maya Manzil

maya.manjil@gmail.com


Pyar Kabhi kiya nahi jata


Pyar kabhi kiya nahi jata
Ye to bas ho jata hain !

Dard dikhaya nahi jata,
Mahsus kiya jata hain !

Kisi ko rulaya nahi jata,
Aanshu aa hi jata hain !

Nazare milai nahi jati,
Ye apne aap mil jati hain !

Ab kuch kaha nahi jata,
Na kahke sab kah jate hain !

Written by : Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Ham Wo Nahi


Ham wo nahi jo bikte nahi kisi bazar me,
har dard ka hamdard hain is safar me,
Dukhi na ho u ab kisi ke intazar me
raahe bichhi hain manzil ke safar me !

Written by : Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com