Ek Shayar ka Safar

Hello friends.This blog is Ek Shayar ka safer.Manzil is life,Target, Vision, Aim. Without motivation, inspiration we cant get target.So i will try my best to write more Inspirational , Motivational words. Through which reader come out from depression and they have to eager to spend a enjoy full life.So please join it and put your comments. Ye aap sab ki manzil ka hai safar, Ye badhte kadmo ki hai ek dagar, Ab zindagi ko banalo hamsafar, Jaan lo ye Ek Shayar ka hai safar...........

Monday, January 25, 2010

Kon Hote Hain


Kon hote hain koi kisi ko maffi dene wale ham,

Kisi ne hamari pahchan bata di ye kya hain kam,
Zindigi ke na jane kis moad pe ab khade hain ham,
Manzil ko ab jane do safar ho gaya hain iska khatam !

******************************************************

Written by : Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com




Kya Kare Ye Dil


Kya kare ye dil ki kalam hain,

Do labzo ko dekh likh deti hain,
Is kalam ka koi kasoor nahi hain,
Kasoor ye ki Manzil ne roka hi nahi !

*********************************

Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com



Mere shabd



Mera har shadb dard se bhara hai,

Maine har kadam pe dhokha khaya hai,
Manzil me mujhe khud ko sambhalna hai,
Kal ko chhodo hame ab aaj me jeena hai !

Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Bin Tere



Bin tere hotho pe hasi nahi khilti

Bin teri hansi ke zindgi nahi katati,
Is dost ko teri kami kabhi nahi khalti,
Ye Zindgi is dost ke bina nahi chalti !

Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Bharat Ke Har

Bharat ke har kone me basa hain pyar,
Is des ka har hindustani hain wafadar ,
Iski hasti ko yu aajmana hain bekar,
Yah to des ka ek anmol hain haar !
Jise pujti hain sari duniya baar baar,
Watan ki mitti ko chume hazar baar !
A watan Manzil ka salam bhi kabool kar
Is baar salami deta hain Manzil ke safar!

JAI HIND

Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

A Watan Parast

A watan parast ye sair na jhukne dena,
Dushman ko apni peeth na dikhne dena,
Use eet ka jawab pathar se deke aana,
Hindustani hone ka Fraz ada karke aana,
Ye Tiranga Sarhad ki choti pe laga ke aana,
Jise salami dene 26 January 2010 ko hai aana !

I LOVE MY INDIA

Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Republic Day 2010

Ye badhte kadam hamesa badhte rahenge,
Ye nadiya jharne hamesa bahate rahenge,
Har mulk me tumhe hindustani milenge,
Har sarhad pe tumhe tainaat ye milenge,
Ye suraj ki kiran hamesa nakse me rahegi,
Mere des ka Jhanda hamesa lahrata rahega !

"JAI HIND"

Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com