Ek Shayar ka Safar

Hello friends.This blog is Ek Shayar ka safer.Manzil is life,Target, Vision, Aim. Without motivation, inspiration we cant get target.So i will try my best to write more Inspirational , Motivational words. Through which reader come out from depression and they have to eager to spend a enjoy full life.So please join it and put your comments. Ye aap sab ki manzil ka hai safar, Ye badhte kadmo ki hai ek dagar, Ab zindagi ko banalo hamsafar, Jaan lo ye Ek Shayar ka hai safar...........

Tuesday, January 26, 2010

Main Kaon Hu


Main khilte phool ki kali hu,

Main bhatkte musafir ki manzil hu,
Main chankte sitare ki chamak hu,
Ab tak kisi ne na jana main kaon hu?

Main lahrate samadar ki lahar hu,
Main mahkte phool ki khusbu hu,
Main kisi ke sapno ka sitara hu,
Ab tak kisi ne na jana main kaon hu?


Main aankh se nikla wo aansu hu,
Main nind me buna wo sapna hu,
Main ummid me pani wo aash hu,
Ab tak kisi ne na jana main kon hu?


Main har saas me bhi aas hu,
Main har baat me bhi raaj hu,
Main safar me bhi hamsafer hu,
Ab tak kisi ne na jana main kaon hu ?

Main gujre hye kal ki wo yaad hu,
Main bhul kar bhi wo fariyad hu,
Main shyari me likha wo shabd hu,
Ab tak kisi ne na jana main kaon hu ?

************************************

Written by : Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

No comments:

Post a Comment