Hello friends.This blog is Ek Shayar ka safer.Manzil is life,Target, Vision, Aim. Without motivation, inspiration we cant get target.So i will try my best to write more Inspirational , Motivational words. Through which reader come out from depression and they have to eager to spend a enjoy full life.So please join it and put your comments. Ye aap sab ki manzil ka hai safar, Ye badhte kadmo ki hai ek dagar, Ab zindagi ko banalo hamsafar, Jaan lo ye Ek Shayar ka hai safar...........
Tuesday, February 1, 2011
Wednesday, January 12, 2011
Waqt a Halat
Waqt A halat shabdo ki hain khamoshi,
haotho pe labzo ki kaisi hain behoshi,
Dile a haal muhabbat ki mahfil ho aisi,
Chand labzon ki gunj se tute mahfil ki khamoshi !
haotho pe labzo ki kaisi hain behoshi,
Dile a haal muhabbat ki mahfil ho aisi,
Chand labzon ki gunj se tute mahfil ki khamoshi !
Written by: Maya Manzil
Wednesday, January 5, 2011
Zindagi Ek Khushnuma
Zindagi Ek khushnuma haseen pal hain,
Palko be bune khawabo ka kal hain
Jhuki nazaro ka barkhuba aanchal hain
bas mere yaar jaan le yahi Zindagi hain !
Written by: Maya Manzil
Thursday, December 16, 2010
badhte Kadam Bhi
Badhte Kadam bhi sahme se huye hain,
Palko pe sapne kaise ruthhe huye hain,
Zindagi ke safar me kaante bechhe hain,
Bheed me ham is kadar ualjhe huye hain!
Palko pe sapne kaise ruthhe huye hain,
Zindagi ke safar me kaante bechhe hain,
Bheed me ham is kadar ualjhe huye hain!
Written by: Maya Manzil
Tuesday, November 23, 2010
Badi muddat ke baad
Badi muddat ke baad mujhe siddat mili,
Aaj waqt ne saath chalne ki ibadat ki,
Waqt ke mohtaj kaisi ye uljhan jo huai,
Maot ne dastak dene se pahle ijajat jo li !
Aaj waqt ne saath chalne ki ibadat ki,
Waqt ke mohtaj kaisi ye uljhan jo huai,
Maot ne dastak dene se pahle ijajat jo li !
Written by: Maya Manzil
Wednesday, October 13, 2010
Aankho me aanshu ki kaonsi
Aankho me aanshu ki kaonsi ye jhil hain,
Zindagi ki tanhai ki koansi ye manzil hain !
Mera ye safar meri nazaro se aojhal hain,
Chalkati dhoop hi meri raah ka aachal hain !
Andheri raat me sitaron sebhara gagan hain,
Khilate aur mahkate phoolon ka chaman hain !
Zindagi ka daman khushiyon se anjaan hain,
Zindagi ke safar me musafir hi ek pahchan hain !
Aaj ek nai moar pe meri Zindagi ki dansta hain,
Ab to bas A- Zindagi mera tujhse hi wasnta hain !
Written by: Maya Manzil
Kabhi Lagta Hain
Kabhi lagta hain thaki si hain ye Zindagi,
Waqt bewaqt rukh badalti hainye Zindagi,
Ek pal khawabao ko sajati hain ye Zindagi,
Duje pal chakna coor kar deti hain ye Zindagi,
Har pal kuch naya shikhati hain ye Zindagi,
Dil yahi kahta hain Aakhir kya hain ye Zindagi,
Har Harmusafir ki raah me manzil hoti hain Zindagi,
Har kadam sambhalkar chale ko kahti hain ye Zindagi
Har kadam sambhalkar chale ko kahti hain ye Zindagi
Ek anjani si aahat dastak deti hain kya Zindagi
Kya isi ka naam hain Ye Zindagi !
Written by: Maya Manzil
Subscribe to:
Posts (Atom)