Ek Shayar ka Safar

Hello friends.This blog is Ek Shayar ka safer.Manzil is life,Target, Vision, Aim. Without motivation, inspiration we cant get target.So i will try my best to write more Inspirational , Motivational words. Through which reader come out from depression and they have to eager to spend a enjoy full life.So please join it and put your comments. Ye aap sab ki manzil ka hai safar, Ye badhte kadmo ki hai ek dagar, Ab zindagi ko banalo hamsafar, Jaan lo ye Ek Shayar ka hai safar...........

Friday, October 8, 2010

Kiya Hain Jise Pyar hamne



Kiya hai jise pyar hamne
Zindagi ki tara,
Woh aashiyana bhi mila hame

Ajnabi ki tarha,
Bas ek talash hain ab hame,
tamnna ki tarha,
Jo saath de mera har moar pe
bas jamane ki tarh,
Palko pe wo khawab sagenge
Aaine me tasveer ki tarha,
Ek ghazal ham aisi likh de
Gunje Tarane ki tarha !

Written by: Maya Manzil

Kuch Meethi Kuch Khatti Teri Yaaden

Kuch meethi kuch khatti teri yaaden hain,
Tere saath bitaye palo ki wo sogaten hain,
Bura na mano ham palko pe unko sajaten hain,
Jab aankh khule to teri tasveer samne paaten hain,
Band aankho me bas tera hi khawab sajaten hain,
Teri har aahat ko ham is kadar dil se lagaten hain,
Bas yahi kahna hain ki aap bahut yaad aaten hain !


Written by:  Maya Manzil
http://shayarimanzil.blogspot.com

Monday, September 6, 2010

Mahaj ek Shakash Se

Mahaj ek shakash se mulakat huai,
Ualfat e isk bas nazaro se baat huai,
Khuda ki rahmat se halki si barsat huai,
Wo bheega mosam Ghazal ki suruaat huai !
 
Written by: Maya Manzil
http://shayarimanzil.blogspot.com

Tuesday, August 31, 2010

Har Us Gam Me


Har us Gam me khushi chupi hain jatane ke liye,
Jaam to ek bahana hain Gam ko bhulan ke liye !

Bahakate kadam andheri raat me dagmagane ke liye,
Jab hoash aye to musafir is Manzi pe aage badhne ke liye !

Jab na de koi saath to jaam hi kayon hain peene ke liye,
yaa Kaho ki us jhalakte jaam ki jhalak dikhlane ke liye !

Ye to dastoor hain Ek shayar ki Ghazal ko banane ke liye,
Yaa kaho ki Jaam Ek Aasik ki mahfil ko sajane ke liye !

Written by : Maya Manzil
http://shayarimanzil.blogspot.com

Teri Yaad Ke Liye

Teri Yaad ke liye mere paas bahut thikane hain,
Na jaane mulakat ke kitane bahane Hain !

Ho kasti samundar me to kinare to tarste hain,
Beech sagar me ham us paani to talashte hain !

Hoash nahi fir bhi ham ghazal Likhate jate hain,
Ye shabd hi meri Manzil ko kinare pahuchate hain !

Written by: Maya Manzil
http://shayarimanzil.blogspot.com

Friday, August 20, 2010

Kuch Ankahe Se Lamhe

Kuch Ankahe Se Lamhe Ja Jane
Kya Kah Jate Hain,
Jaise Nadiya Ka Bahta Pani Sagar 
Me Mil Jata Hain,
Phool Ki Patti Bikharkar Bhi Khusboo 
Chood Jati Hain,
Bas Aise Hi Raah Me chalte Musafir Yaade 
Chood Jate Hain

Written by: Maya Manzil
http://shayarimanzil.blogspot.com

Sunday, August 1, 2010

Phool Ke Liye Bas


Happy Friendship Day

*****************************
Phool ke liye bas ek kali bahut hain,
hasi ke liye bas ek khushi bahut hain,
Safar ke liye bas ek Manzil bahut hain,
Zindagi jeene ke liye dost bahut hain,
Bas  aap jaise dost ki zarurat hain  !

Written by: Maya Manzil
http://shayarimanzil.blogspot.com