Ek Shayar ka Safar

Hello friends.This blog is Ek Shayar ka safer.Manzil is life,Target, Vision, Aim. Without motivation, inspiration we cant get target.So i will try my best to write more Inspirational , Motivational words. Through which reader come out from depression and they have to eager to spend a enjoy full life.So please join it and put your comments. Ye aap sab ki manzil ka hai safar, Ye badhte kadmo ki hai ek dagar, Ab zindagi ko banalo hamsafar, Jaan lo ye Ek Shayar ka hai safar...........

Thursday, May 28, 2015





Babul tere aangan se meri doli uthi hain,
Tere pyar ke aanchal me yu pali main,

Tere ghar ke dahleez ulaange ke main,
Aaj piya ke aangan me chahkti hu main,

Kisne kya socha ki kaisa hoga piya ka ghar,
Waqt be waqt babul teri yaado ka hain manzar,

Babul ke aangan me chahakti thi meri aawaz,
Piya ke ghar me phool hua  khamosh andaz .

Babul tujhse na mujhe koi sikwa na shikayat,
mujhe to bas Babul tujhe sada aise rahe chahat !


                                                                                                        Written by: Maya Manzil
         


Thursday, November 14, 2013



Zindagi to ek aisa safar hain,
Sukh Dukh ka wo bhawar hain,
har ek mod pe mile kuch shikh,
Has ke pa le Manzil  whi zindagi hain!
Written by : Maya Manzil

Thursday, August 29, 2013




Bite lamho ke saye me rahne do,
Do pal hi shi  bahon me le lo
Ab khud se juda na hone do,
Bachi zindagi tere sang jee lene do  !

Written by: Maya Manzil

Sunday, August 25, 2013



Suraj ki kirno se milati hain ummang,
Chand Ki chandni se hoti hain Chahat,
Bahti Pawan se hoti hain Udaan,
Laga ke Pankh ham udte hain manzil pe !

Written by: Maya Manzil

Tuesday, August 20, 2013



Kya socha tha aur kya paya,

Tune khhada kiya wo h dohraya,

Maot bhi aaye tajub na mujhe,

Bin tere na jee sake na mar sake !


Written by: Maya Manzil

 


Har Pal har Lamha Teri Yaad Me Gujarta Hain,

Bin Tere  Jeene Ko Ab na mera Dil Karta Hain,

Mere Hamdam Meri Becheni to tu Shabd pahna de,

Bichhi hai palke raho me Meri Manzil ka rahi banja re!

 

Written by: Maya Manzil



Wednesday, April 20, 2011

Yaaden Aksar


Yaaden akasar sirf yaaden rah jati hain,
Apne beech safar me saath chhod jate hain,
 Kisi ko kya dos de ham hee bahak jate hain,
Tanha hokar bhi ham bas unme kho jate hain,

Na jaane kis waqt kis more pe khade ho jate hain,
Gairo ko apna aur apno ko gair samjhtae hain !

Bechen aankho pe bas haseen sapne sajate hain,
Bas ab to ham yaadon ke sahare hi jeete hain !

Written by: Maya Manzil