Hello friends.This blog is Ek Shayar ka safer.Manzil is life,Target, Vision, Aim. Without motivation, inspiration we cant get target.So i will try my best to write more Inspirational , Motivational words. Through which reader come out from depression and they have to eager to spend a enjoy full life.So please join it and put your comments. Ye aap sab ki manzil ka hai safar, Ye badhte kadmo ki hai ek dagar, Ab zindagi ko banalo hamsafar, Jaan lo ye Ek Shayar ka hai safar...........
Sunday, March 27, 2011
Wo hame na kabhi samjh sake
Wo hame na kabhi samjh sake,
Mere hi lanzon ko apna sa kahe !
Mere hi lanzon ko apna sa kahe !
Saath dene me wo aise katra rahe,
mangi thi khusiya gam diye ja rahe !
mangi thi khusiya gam diye ja rahe !
Ab to ham tera sath chhod hain rahe,
Bas ek hi hain dyua tu jaha bhi rahe !
Bas ek hi hain dyua tu jaha bhi rahe !
Haseen yaadon ko na sanjo ke tu rahe,
Meri yaandon ka saya teri palko pe na rahe!
Written by: Maya Manzil
Tuesday, February 1, 2011
Wednesday, January 12, 2011
Waqt a Halat
Waqt A halat shabdo ki hain khamoshi,
haotho pe labzo ki kaisi hain behoshi,
Dile a haal muhabbat ki mahfil ho aisi,
Chand labzon ki gunj se tute mahfil ki khamoshi !
haotho pe labzo ki kaisi hain behoshi,
Dile a haal muhabbat ki mahfil ho aisi,
Chand labzon ki gunj se tute mahfil ki khamoshi !
Written by: Maya Manzil
Wednesday, January 5, 2011
Zindagi Ek Khushnuma
Zindagi Ek khushnuma haseen pal hain,
Palko be bune khawabo ka kal hain
Jhuki nazaro ka barkhuba aanchal hain
bas mere yaar jaan le yahi Zindagi hain !
Written by: Maya Manzil
Thursday, December 16, 2010
badhte Kadam Bhi
Badhte Kadam bhi sahme se huye hain,
Palko pe sapne kaise ruthhe huye hain,
Zindagi ke safar me kaante bechhe hain,
Bheed me ham is kadar ualjhe huye hain!
Palko pe sapne kaise ruthhe huye hain,
Zindagi ke safar me kaante bechhe hain,
Bheed me ham is kadar ualjhe huye hain!
Written by: Maya Manzil
Tuesday, November 23, 2010
Badi muddat ke baad
Badi muddat ke baad mujhe siddat mili,
Aaj waqt ne saath chalne ki ibadat ki,
Waqt ke mohtaj kaisi ye uljhan jo huai,
Maot ne dastak dene se pahle ijajat jo li !
Aaj waqt ne saath chalne ki ibadat ki,
Waqt ke mohtaj kaisi ye uljhan jo huai,
Maot ne dastak dene se pahle ijajat jo li !
Written by: Maya Manzil
Subscribe to:
Posts (Atom)