Ek Shayar ka Safar

Hello friends.This blog is Ek Shayar ka safer.Manzil is life,Target, Vision, Aim. Without motivation, inspiration we cant get target.So i will try my best to write more Inspirational , Motivational words. Through which reader come out from depression and they have to eager to spend a enjoy full life.So please join it and put your comments. Ye aap sab ki manzil ka hai safar, Ye badhte kadmo ki hai ek dagar, Ab zindagi ko banalo hamsafar, Jaan lo ye Ek Shayar ka hai safar...........

Tuesday, August 31, 2010

Teri Yaad Ke Liye

Teri Yaad ke liye mere paas bahut thikane hain,
Na jaane mulakat ke kitane bahane Hain !

Ho kasti samundar me to kinare to tarste hain,
Beech sagar me ham us paani to talashte hain !

Hoash nahi fir bhi ham ghazal Likhate jate hain,
Ye shabd hi meri Manzil ko kinare pahuchate hain !

Written by: Maya Manzil
http://shayarimanzil.blogspot.com

Friday, August 20, 2010

Kuch Ankahe Se Lamhe

Kuch Ankahe Se Lamhe Ja Jane
Kya Kah Jate Hain,
Jaise Nadiya Ka Bahta Pani Sagar 
Me Mil Jata Hain,
Phool Ki Patti Bikharkar Bhi Khusboo 
Chood Jati Hain,
Bas Aise Hi Raah Me chalte Musafir Yaade 
Chood Jate Hain

Written by: Maya Manzil
http://shayarimanzil.blogspot.com

Sunday, August 1, 2010

Phool Ke Liye Bas


Happy Friendship Day

*****************************
Phool ke liye bas ek kali bahut hain,
hasi ke liye bas ek khushi bahut hain,
Safar ke liye bas ek Manzil bahut hain,
Zindagi jeene ke liye dost bahut hain,
Bas  aap jaise dost ki zarurat hain  !

Written by: Maya Manzil
http://shayarimanzil.blogspot.com

Monday, July 12, 2010

Kisi Apne Ki Na Ab Hame

Kisi apne ki na ab hame koi 
ummid hain,
Ye Safar ab hame akele paar 
karna hain,
Khali hath aaye aur khali haath 
hi jana hain,
Ham Akele aaye the aur akele 
hi jana hain !
Written by: Maya Manzil



Thursday, June 24, 2010

Aankhe Jo Sapna

Aankhe jo sapna sanjoti hain,
Dil me kuch arma bhi hote hain!


Sapne bhi hame kuch kahate hain,
Juba na ho par palke jhapakti hain,

Nind khulane pe sapne bikhrate hain,

Bas mere bhi kuch aise hi sapne hain!


Tahani ke patte ki tarah bikharate hain,
Patjhad ki trah wo bhi door ja girate hain!

Tuesday, June 22, 2010

Teri Yaad Me Mera


Teri Yaad me mera Har wo lamha kahta hain,
Tujhse Bichhudne ka afsos aaj bhi hota hain!

Teri yaadon ko har jagah main khojta hoon,
Aaj bhi pani me teri parchhai to dekhta hoon!

Bahte aansuo se teri tasveer banata hoon,
Beech raah me khud ko akela pata hoon !

Tere wapas aane ki raah ham dekhte hain,
Aaj bhi wahi jaate hain jaha teri yaade hain !


Written by: Maya Manzil
http://shayarimanzil.blogspot.com

Monday, June 14, 2010

Kahna Tha Bahut Kuch



Kahna tha bahut kuch,par hame
labaz na mile,
Sunana the ek geet par hame 
sur na mile,
Khushi thi zindagi me par hame
muskurahat na mili,
Kashti pe sawar the par hame
Kinara na mila,
Safar me chal diye par hame
Manzil na mili !