Ek Shayar ka Safar

Hello friends.This blog is Ek Shayar ka safer.Manzil is life,Target, Vision, Aim. Without motivation, inspiration we cant get target.So i will try my best to write more Inspirational , Motivational words. Through which reader come out from depression and they have to eager to spend a enjoy full life.So please join it and put your comments. Ye aap sab ki manzil ka hai safar, Ye badhte kadmo ki hai ek dagar, Ab zindagi ko banalo hamsafar, Jaan lo ye Ek Shayar ka hai safar...........

Sunday, March 7, 2010

Saturday, March 6, 2010

Maa Shabad



Maa Shabad me hi ek pyara sa ehsaas hota hai,
Door hai to kya, wo nazaro ke paas hota hai,
Har dard me nikale wo shabad Maa hota hai,
Nikale aansu to unki kami ka ehsaas hota hai,
Humari har chubhan unhe mehsus hoti hai,
Unke aanchal ki chayya aaj bhi yaad aati hai!


Written by : Maya Manzil





Friday, March 5, 2010

Thursday, March 4, 2010

MAA


Har kisi ko MAA ki yaad aati hai
Un yaado me aankhe bhar aati hai ,
Door hokar dard ka ahsaas dilati hai,
Paas hokar meri MAA gale se lagati hai,
Kon kahta hai, MAA kise yaad nahi aati hai,
Har pal me uski hi har fariyad nazar aati hai,
A Dosto hame bhi apani MAA yaad aati hai !


©Written by : Maya Manzil

Wednesday, March 3, 2010

Na Jaane Humne




Na jane hamne konsa Gunah kar diya,
Aangan ke phool ko nikal bahar kar diya!

Unki aankho ko ab hamne nam kar diya,
Kya socha or na jane hamne kya kar diya!

Kisi ki zindagi me hame kya moad la diya,
Na jane ye gam ka sagar kaha se aa gaya !

Yaad karte the hame,na jane ksise bhula diya,
Hamne dena chaha kuch,na jaane kya de diya !

Pyari si gudiya se unhone mauh moad liya,
Aankho ke tare to unhone nazaro se hata diya !

Karte hai wada ab lotadenge unki sari khusiya,
Thi amanat aapki, aapke hawale hamne kar diya !

© Written by : Maya Manzil

Tuesday, March 2, 2010

Zindagi Me Kamyabi.....


Zindagi me kamyabi pana jaruri hai,
badhte kadmo to rokna jaruri hai !

Mile jaha Manzil waha thahrna jaruri hai ,
Raah me kanto ki chubhan jaruri hai !

Sabse kadam milakar chalna jaruri hai,
Waqt aaye to jawab dena jaruri hai !

Jo kah diya use pura karna jaruri hai,
Main na rahu par tera rahna jaruri hai !

Waqt pe kalam ko talwar bana jaruri hai,
Manzil na mile par safar tay karna jaruri hai !

©Written By: Maya Manzil

Monday, March 1, 2010

Aaj Shubha Jab....



Aaj subhah jab darwaja maine khola,
Ek Ajnabi sab rango me ranga mila,
Uske haatho me tha rango ka thela,
khulte hi usne rang se mujhko rang dala,
Bola Happy Holi or bas dhum macha dala !

*************************************
Ek rang ne rang ko rangna chaha,
Ek dost ne uske sang khelna chaha,
Is holi pe har rang ne rangana chaha,
aapko holi mubarak ho yahi kahan chaha !

**************************************

Ek rang to duje rang pe dalo,
Holi pe is dost ko gale se lagalo,
Rango me rango ko tum milalo,
Fir tum is holi pe dhum machalo !

***********************************

©Written by: Maya Manzil