Hello friends.This blog is Ek Shayar ka safer.Manzil is life,Target, Vision, Aim. Without motivation, inspiration we cant get target.So i will try my best to write more Inspirational , Motivational words. Through which reader come out from depression and they have to eager to spend a enjoy full life.So please join it and put your comments. Ye aap sab ki manzil ka hai safar, Ye badhte kadmo ki hai ek dagar, Ab zindagi ko banalo hamsafar, Jaan lo ye Ek Shayar ka hai safar...........
Tuesday, July 28, 2015
Kalam ek tu hain jo mere dil ke kareeb,
Sab kuch hoyte huye bhi mujhsa Gareeb!
Mujhe Na koi shiqwa na koi shikayat,
Bas is kalam me hi hain sab khawaish!
Kalam kabhi na hona hamse khafa,
Tere Siwa sabne diya hain hame daga!
Tu jo chale to dil ka haal byaan karde.
Tu kore panne me kismat ke rang bhar de!
Written by: Maya Manzil
Friday, June 12, 2015
Ek pal ki khushi najane kisme hain lipti,
Guzare zamane se kis zamane ki raah dekhti.
Guzare zamane se kis zamane ki raah dekhti.
Bejuban ahsas ko kiya maine mahsus,
Mere shabdo ki baris kyu na mahfuj.
Ek aawaj to do mera waqt wahi hain thahra,
Bekarar hain sunne ko bezuban alfaj tera.
Samay ne na jane kaisa khel hain khela,
Zindagi ki kasti ko kaha kaha dhakela.
Khili chandni me chhupi hain dansta.
Bahti nadi ne diya mujhe ek rasta,
Guzare zamanne ke gile shikwe hain ,
Bezuban baris ki bundo se khamosh alfaj hain.
Adhuri hain ye kahani,adhura hain ye manzar,
Bin tere ye zindagi ho na zaye kahi banzar.
Bezuban baris ki bundo se khamosh alfaj hain.
Adhuri hain ye kahani,adhura hain ye manzar,
Bin tere ye zindagi ho na zaye kahi banzar.
Written by: Maya Manzil
Thursday, May 28, 2015
Babul tere aangan se meri doli uthi hain,
Tere pyar ke aanchal me yu pali main,
Tere ghar ke dahleez ulaange ke main,
Aaj piya ke aangan me chahkti hu main,
Kisne kya socha ki kaisa hoga piya ka ghar,
Waqt be waqt babul teri yaado ka hain manzar,
Babul ke aangan me chahakti thi meri aawaz,
Piya ke ghar me phool hua khamosh andaz .
Babul tujhse na mujhe koi sikwa na shikayat,
mujhe to bas Babul tujhe sada aise rahe chahat !
Written by: Maya Manzil
Subscribe to:
Posts (Atom)