Ek Shayar ka Safar

Hello friends.This blog is Ek Shayar ka safer.Manzil is life,Target, Vision, Aim. Without motivation, inspiration we cant get target.So i will try my best to write more Inspirational , Motivational words. Through which reader come out from depression and they have to eager to spend a enjoy full life.So please join it and put your comments. Ye aap sab ki manzil ka hai safar, Ye badhte kadmo ki hai ek dagar, Ab zindagi ko banalo hamsafar, Jaan lo ye Ek Shayar ka hai safar...........

Sunday, March 27, 2011

Kyun Tut jata hain aaina


Kyun Tut jata hain aaina surat teri dekhkar,
sarma jati hain chandni nazare teri dekhkar,
Tu ek pal ke liye muskura ke to dekh idhar,
Tere chahane walon ki bheed hain is kadar !

Written by:Maya Manzil

Ek halki si hawan ne


Ek halki si hawan ne mujhe is kadar chhuaa,
Na jane kayon laga jaise ki mujhe kuch huaa,
Palko pe bane sapno ka saya kaise door huaa,
Socha tha jise apna wo iss kadar door huaa !

Written by: Maya Manzil

Wo hame na kabhi samjh sake


Wo hame na kabhi samjh sake,
Mere hi lanzon ko apna sa kahe !

Saath dene me wo aise katra rahe,
mangi thi khusiya gam diye ja rahe !

Ab to ham tera sath chhod hain rahe,
Bas ek hi hain dyua tu jaha bhi rahe !

Haseen yaadon ko na sanjo ke tu rahe,
Meri yaandon ka saya teri palko pe na rahe!

Written by: Maya Manzil